Our partner sites : www.loveinair.tk, www.gamesmaaza.tk, www.superlinksite.tk

LONG SHAYARI

badnam zamaney mein mohabat nhi kertey
Dil-waley to dushman se bhi nafrat nhi kertey

Ek bar jise chaha sada us k rahey phir
hum log amant me khayanat nahi kertey

Tanhai mein kar lete hain yaad aansoo baha kar
Zahir kabhi hum apni ibadat nahi kertey
Waqt aaney par maloom ho jaey ga tum ko
Hum sirf dikhawey ki mohabbat nahi kertey

Likhtey hain fakat ek tumhare liye ghazlein
Har shaks pe hum younhi inayat nahi kerte




Ye delhi hai mere yaar
bas ishq muhabbat pyaar

ko aage se aur koi peeche se
pata nahin kab karega waar
isiliye jeena hai to
sabko goli maar
ye dilli hai mere yaar...

BPO, IT, Online media aur akhbaar
sab bik chuke hain sare baazar
jo bikta hai wo dikhta hai
bas paisa phenko yaar
ye dilli hai mere yaar..

footpath par log, sadkon par gaadiyan, aur metro hai tayyaar
sab jagah mele lage hain aur polluted hai sarkaar
bacha kar rakhna apne aap ko yahaan
kabhi bomb girega, aur kabi kabhi deewar
ye dilli hai mere yaar...





Har subaha, ek nayi shuruwaat, naye khyaal aur naya chehra
raat ke daaman se churaye kuchh haseen lamhon ke saath aakar dastak deti hai
gaadiyon ki awaaz, rasoi mein bartano ka takrana, ek chai ki pyaaali ki khushboo
aankhen khulti hain us pankhe pe nazar utarti hai, saari raat jo mujhe chain se sulane ke liye chalta hai

kabhi socha nahin tha ke ye sab bezubaan cheezen bhi awaaz karti hain, tumse baat karti hain
shayaad pankha mujhe lori sunata hai, shayaad ye bartan mujhe jagane ke liye takrate hain
wo chai mere jism ko taaza karti hai, ye gaadiyan mujhe safar ke liye bulati hain
wo nal ka paani mere tan se wo lipti hui neend ki chaadar badalta hai
Lekar sapne apni aankhon mein chale ujaalon ki aur
kadam zahaan pade wahaan raaste ho gaye
dil ko agar baandh kar na rakho to zinda ho tum
 
is shor mein bhi ek sangeet agar tum sun pao
is dariya ke paani mein agar tum tar jao
jeene ka agar shauk hai to zinda ho tum

sab darwaaze jo band hain khol do unko

sab shaks jo weham karte hain boldo unko
agar soch se aage kar paaye to zinda ho tum

saahil ko rehta hai ek tinke ka sahaara

na bano maajhi aur na bano kinara
ban jao agar samandar to zinda ho tum





kuch peele aur kuch neele hue
kuch ukhde hain aur kuchh mude bhi hain
ye panne meri kitaab ke hain

kai baar palte kai baar maile hue

kabhi syaahi mein dhule kabhi chai ka ghoot bhara
kitni baar ukhde hain inko bhi pata nahin
kabhi apne lage to kabhi mehmaan se hain
ye panne meri kitaab........

likhte bhi hain inpe aur mita bhi dete hain
kabhi gusse mein inko jala bhi dete hain
phir kabhi inhen dil pe laga kar bhi soya hain
raat aur din se farak nahin ye yunhi bezubaan se hain
ye panne meri.............

saath na chhoda kabhi sab duniya chhod gaye
unke bhi kisse inn panno ki zubaan pe hain
kisi humsafar se kamm nahin bas ek saamaan se hain
ye panne meri kitaab.........

kabhi nakaab mein the ab duniya jaan gayi
ke hum is syaahi aur panno mein ghire hain
ye sab barke unke liye farmaan se hain
ye panne meri kitaan ke hain...

likhna seekho dard ko kubool karo
mat socho ye sab kalpana hain andar ki
likhne ka koi bhi usool nahin dosto
isiliye shayad ye shayar insaan se hain
ye panne meri kitaab ke hain






Waqt ke haathon, main ab majboor ho chala
teri aankhon ke daayre se bahut door ho chala
Bahut saha hai tera zulm aur sitam magar
Ab ye jism khuda ke roobaroo ho chala...

Beete hue waqt ko thaam nahin sakta
teri khwahishon ko shaayad main jaan nahin sakta
Isi liye chal pada hoon khuda ke ghar
Jaate-jaate bhi magar teri yaadon ka silsila khoob chala
Waqt ke haathon.........

Tu naaraz mat hona mujhe yun haara hua dekhkar
Tera deedaar main karta tha chand ka nazaara dekhkar
Tere chehre se us chand ka ishara khoob chala
waqt ke haathon.........

Mujhe ranj nahin hai marne ka main zinda hoon
Tere khayaalon ke aasmaan ka main parindda hoon
Tujhe saath lekar jo kabhi ud na saka
Aaj kashti nahin doobi hai magar wo kinara doob chala
Waqt ke haathon main ab mazboor ho chala.